Internet Ki Tamam Jankari Urdu/Hindi Me!

13 April 2016

Facebook Account Ya Page Ki Post Ko Twitter Se Kaise Connact Karen?

Aaj Hum Aap Logon K Batane Ja Rahe Hain Aisi Jankari Jis Ke Jariye Se Aap Apne Facebook Account Ya Page Pe Kiye Huye Tamam Post Ko AutoMatic Twitter Pe Post Kar Sakenge,


Aap K Zyada Time Na Lete Huye Mukhtasar Me Aap Ko Bata Dun K Is Se Aap Apne Kuch Waqt Ko Bacha Sakte Hain Waqt Ki Bahut Ahmiyat Hai Aur Log Aaj Kal Chahte Bhi Yahi Hai K Mukhtasar (Thora Waqt) Me Tamam Kaam Jaldi Ho Jaye,
To Ab Chalte Hain Man Jankari K Taraf Aap Sab Se Pahle Ye Link Open Karen 
Click Karne K Baad Aap K Samne Ek Page Khulegi Jo Kuch Is Tarah Se Hogi,


3LLink My Profile To Twitter
Ki Button Pe Click Karen Ab Aap Ke Saamne Jo Page Khuli Hai Us Me Aap Ko Select Karni Hai Page Ya Khud Ki Account, Jo Kuch Is Tarah Se Dikhenge,



Ab Is Page Me Aap In Option Me Se Jo Jo Post Aap Twitter Pe Dikhana Chahte Hain Un Tamam Pe Tik (Mark) Laga Den, Us Ke Baad Ab Niche 

Save Changes

 Ki Button Pe Click Karen Ab Aap Ki Page Ya Account Ki Post Twitter Me Shamil Ho Chuki Hai, Ab Aap Jo Bhi Post Karenge Sab Automatic Twitter Pe Tweet Ho Jayegi,!
Ummid Hai K Aap Ise Achhi Tarah Se Samajh Gaye Honge,


Agar Aap Ko Ye Post Achhi Lagi Ho To Zarur Is Post Ko Apne Doston Tak Pahunchaye, Aur Agar Is Me Kisi Tarah Ki Parishani Aa Rahi Hai To Comment Karen, Hume Aap Ki Madad Karne Me Khushi Hogi,!
Talib-E-Dua:

No comments:

Post a Comment

Apni Raaye Yahan Aap Comment Kar Sakte Hain Is Post Se Sambandhit